Allah bagair koi hajat rawa nahi hai

Allah bagair koi hajat rawa nahi hai (mushkil kusha nahi h)


wo Ghalib hai, maghloob hain hm,
wo Khaliq hai, makhlooq hain hm,
Wo Raziq hai, marzooq hain hm,
wo Nasir hai, mansoor hain hm,
wo Qadir hai, maqdoor hain hm,
majboor hain hm..
Allah baghair koi hajat rawa nahi hai


Chand Tare ye kahe, sab nazare ye kahe,
phool pyare ye kahe, Insan sare ye kahe,..
Allah baghair koi hajat rawa nahi hai..


Wo Aleem bhi hai,wo Haleem bhi hai,
wo Azeem-Hakeem-Kareem bhi hai,
Rahman bhi h,wo Raheem bhi hai,
Jabbar bhi he, Qahhar bhi hai,
Sattar bhi hai, Ghffar bhi hai,
wo Noor bhi hai Anwar bhi hai,
wo sab ka palanhar bhi hai,,
Allah baghair koi hajat rawa nahi hai.

Hajr o shajar,
sab janwar,barr-o-bahar,
shamsh o qamar,
jangal nagar, sehra o thar,
Allah ka ghar, gul-phul-samar,
insan or haiwan har,
bar tar hun ya ki haich tar
paigham bar sham o sehar,
jinn o ins or ye falak malak
mamlook milk o mulk sab
insan sab haiwan sab
har pal har dam, dam,dam
har cheez jahan ki  kahe
Allah baghir koi hajat rawa nahi

Wo sab pe meharban hai
Wo sab ka raazdan hai
har zarraye jahan ka haakim hai hukmaran hai
mojud zaat uski Iqbal yahan wahan hai
baad az khuda kisi ko sajda rawa nahi hai
Allah baghair koi hajat rawa nahi hai..


Don't forget to share this post 
For more visit our youtube channel
Back to Top